Safar Ke Baad Bhi Mujhko Safar Mein Rahna Hai

safar ke baad bhi mujh ko safar mein rahna hai

nazar se girna bhi goya KHabar mein rahna hai

abhi se os ko kirnon se pi rahe ho tum

tumhein to KHwab sa aankhon ke ghar mein rahna hai

hawa to aap ki qismat mein hona likkha tha

magar main aag hun mujh ko shajar mein rahna hai

nikal ke KHud se jo KHud hi mein Dub jata hai

main wo safina hun jis ko bhanwar mein rahna hai

tumhaare baad koi rasta nahin milta

to tai hua ki udasi ke ghar mein rahna hai

jala ke kaun mujhe ab chale kisi ki taraf

bujhe diye ko to 'adil' khanDar mein rahna hai

(1879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Ke Baad Bhi Mujhko Safar Mein Rahna Hai In English By Famous Poet Aadil Raza Mansoori. Safar Ke Baad Bhi Mujhko Safar Mein Rahna Hai is written by Aadil Raza Mansoori. Read famous Poem Safar Ke Baad Bhi Mujhko Safar Mein Rahna Hai for youth and Student by Aadil Raza Mansoori. Free Download Safar Ke Baad Bhi Mujhko Safar Mein Rahna Hai in PDF.