Jite-ji Ke Aashna Hain Phir Kisi Ka Kaun Hai

jite-ji ke aashna hain phir kisi ka kaun hai

nam ke apne hua karte hain apna kaun hai

jaan-e-jaan tere siwa rashk-e-masiha kaun hai

mar kar Thokar jila de mujh ko aisa kaun hai

ye siyah KHema hai kis ka is mein laila kaun hai

chamber-e-aflak ke parde mein baiTha kaun hai

hum na kahte the ki sauda zulf ka achchha nahin

dekhiye to ab sar-e-bazar ruswa kaun hai

wo to hai be-nur aur ye nur se mamur hai

chashm ko nargis kahega aisa andha kaun hai

dam-ba-dam har baat mein karte ho ThanDi garmiyan

aap ki ukhDi hui baaton pe jamta kaun hai

wadi-e-wahshat mein bhi ham-rah hain aah-o-fughan

apne hamdam sath hain ai jaan tanha kaun hai

KHair hai ai mehrban kis ne unhen sidha kya

aap kyun bal karte hain zulfon se uljha kaun hai

duKHtar-e-raz sach bata teri nazar kis par paDi

TaTTiyon ki aaD mein se kis ko taka kaun hai

aaj maqtal mein khaDe kahte hain wo KHanjar-ba-kaf

bol uThe chahne wala hamara kaun hai

chaar din jo kuchh tamasha dekhna hai dekh le

sair ko phir gulshan-e-duniya mein aata kaun hai

bandh kar tegh o kafan jate hain us qatil ke pas

hum bhi dekhen rokne wala hamara kaun hai

kya tajahul hai ki wo farmate hain aghyar se

main nahin pahchanta mutlaq ki 'agha' kaun hai

(1574) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jite-ji Ke Aashna Hain Phir Kisi Ka Kaun Hai In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Jite-ji Ke Aashna Hain Phir Kisi Ka Kaun Hai is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Jite-ji Ke Aashna Hain Phir Kisi Ka Kaun Hai for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Jite-ji Ke Aashna Hain Phir Kisi Ka Kaun Hai in PDF.