Ja LaDi Yar Se Hamari Aankh

ja laDi yar se hamari aankh

dekho kar baiThi faujdari aankh

shoKHiyan bhul jae aahu-e-chin

dekh pae agar tumhaari aankh

lakh inkar mai-kashi se karo

kahin chhupti bhi hai KHumari aankh

howega ranj ya KHushi hogi

kyun phaDakne lagi hamari aankh

jaanib-e-dar nigah-e-hasrat hai

kis ki karti hai intizari aankh

kar ke iqrar ho gaya munkir

samne aa ke kis ne mari aankh

murgh-e-dil par nigah hai un ki

aisi dekhi nahin shikari aankh

hai sitam nok-jhonk chitwan mein

laD rahi hai chhuri kaTari aankh

dil jigar donon ho gae majruh

ban gai hai chhuri kaTari aankh

koi dam mein ubhaarte hain use

us ne dekha ki hum ne mari aankh

'agha' sahab tumhaare dilbar ki

kya rasili hai kya hai pyari aankh

(1670) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ja LaDi Yar Se Hamari Aankh In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Ja LaDi Yar Se Hamari Aankh is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Ja LaDi Yar Se Hamari Aankh for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Ja LaDi Yar Se Hamari Aankh in PDF.