Hazar Jaan Se Sahab Nisar Hum Bhi Hain

hazar jaan se sahab nisar hum bhi hain

tumhaari tir-e-nigah ke shikar hum bhi hain

azal se daKHil-e-fard-e-shumar hum bhi hain

tumhaare chahne walon mein yar hum bhi hain

hamesha hum se kudurat rahi hasinon ko

na dil se nikle kabhi wo ghubar hum bhi hain

musafiron ki tawazo se nam hota hai

karam karo ki gharib-ud-dayar hum bhi hain

sharab pite hain to jagte hain sari raat

mudam aabid-e-shab-zinda-dar hum bhi hain

hazar bar hasinon se hum ne nok ki li

gulon ki aankh mein khaTke wo KHar hum bhi hain

ajib rutba inayat kiya hai qambar ko

ghulam ya shah-e-duldul-sawar hum bhi hain

junun ke hath se hai in dinon gareban tang

qaba pukarti hai tar tar hum bhi hain

baDe hi chaaliye hain chaal chalte hain har dam

wo chukte nahin par hoshiyar hum bhi hain

raqib ko bhi hai bar un ki bazm mein 'agha'

sharik-e-sohbat-e-bos-o-kanar hum bhi hain

(1533) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazar Jaan Se Sahab Nisar Hum Bhi Hain In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Hazar Jaan Se Sahab Nisar Hum Bhi Hain is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Hazar Jaan Se Sahab Nisar Hum Bhi Hain for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Hazar Jaan Se Sahab Nisar Hum Bhi Hain in PDF.