Hamare Samne Kuchh Zikr Ghairon Ka Agar Hoga

hamare samne kuchh zikr ghairon ka agar hoga

bashar hain hum bhi sahab dekhiye nahaq ka shar hoga

na muD kar tu ne dekha aur na main taDpa na KHanjar

na dil howega tera sa na mera sa jigar hoga

main kuchh majnun nahin hun jo ki sahra ko chala jaun

tumhaare dar se sar phoDunga sauda bhi agar hoga

chaman mein lai hogi to saba-mashshatgi kar ke

jo gul se aage lipTa hai kisi bulbul ka par hoga

tari ka bhi wahi malik hai jo malik hai KHushki ka

madad-gar apna har mushkil mein shah-e-bahr-o-bar hoga

tasawwur zulf ka gar chhoD dun mizhgan ka khaTka hai

jo sar ke dard se fursat mili dard-e-jigar hoga

tabibo tum abas aae main kushta hun firangan ka

meri tadbir karne ko muqarrar doctor hoga

kisi ko koste kyun ho dua apne liye mango

tumhaara faeda kya hai jo dushman ka zarar hoga

maza aaega diwanon ki baaton mein pari-zado

jo 'agha' ka kisi din dasht-e-majnun mein guzar hoga

(1496) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Samne Kuchh Zikr Ghairon Ka Agar Hoga In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Hamare Samne Kuchh Zikr Ghairon Ka Agar Hoga is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Hamare Samne Kuchh Zikr Ghairon Ka Agar Hoga for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Hamare Samne Kuchh Zikr Ghairon Ka Agar Hoga in PDF.