Maddah Hun Main Dil Se Mohammad Ki Aal Ka

maddah hun main dil se mohammad ki aal ka

mushtaq hun wasi-e-nabi ke jamal ka

KHwahan guhar ka hun na main talib hun lal ka

mushtaq hun tumhaare dahan ke ugal ka

dekho to ek ja pe Thaharti nahin nazar

lapka paDa hai aankh ko kya dekh-bhaal ka

kya un se faiz pahunche jo KHud tira-baKHt hain

khilte na dekha hum ne kabhi phul Dhaal ka

hum hain faqir daulat-e-duniya se kaam kya

behtar hai jam-e-jam se piyala sifal ka

dana dikha ke dam mein anqa ko launga

mazmun likh raha hun tere KHat-o-KHal ka

sau jaan se fida hun mohammad ke nam par

jis ne bataya farq haram o halal ka

wo aankh bhi uTha ke hamein dekhte nahin

rutba pahunch gaya hai ye ranj-o-malal ka

kis zindagi ke waste daulat ki aarzu

dekho natija ghaur se qarun ke mal ka

iqbaal gar nahin hai tu inkar kijiye

kuchh dijiye jawab hamare sawal ka

muTThi ko khol kar yad-e-baiza dikhate hain

naKHun pe un ke hota hai dhoka hilal ka

shaer ghazab ke hote hain hargiz na chukte

mauqa nahin dahan mein tere qil-o-qal ka

ai rashk-e-mehr wasl mein ghussa hai kis liye

ye waqt meri jaan nahin hai jalal ka

tariki-e-lahad se kuchh 'agha' na KHauf kar

daman hai tere hath mein zahra ke lal ka

(1529) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maddah Hun Main Dil Se Mohammad Ki Aal Ka In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Maddah Hun Main Dil Se Mohammad Ki Aal Ka is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Maddah Hun Main Dil Se Mohammad Ki Aal Ka for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Maddah Hun Main Dil Se Mohammad Ki Aal Ka in PDF.