Malte Hain Hath, Hath Lagenge Anar Kab

malte hain hath, hath lagenge anar kab

joban ka un ke dekhiye hoga ubhaar kab

ushshaq muntazir hain qayamat kab aaegi

be-parda munh dikhaega wo parda-dar kab

ek roz apni jaan pe hum khel jaenge

tum puchhte rahoge yunhi bar bar kab

bekas ko kaun roe gharibon ka kaun hai

meri lahad pe shama hui ashk-bar kab

kaun aaya paDhte fatiha kis ne chaDhae phul

marne ke baad puchhta hai koi yar kab

ummid na-umid ko un se nahin rahi

dushman ke dost hain wo hue mere yar kab

jo unche unche hain wahi jate hain baam par

mahfil mein hum gharibon ko milta hai yar kab

jab naqd mal tu ne diya hum ne naqd-e-dil

saqi hamein bata de ki pi thi udhaar kab

milna chhuDaya tum se mera rashk-e-ghair ne

karta hai koi aap se jabr iKHtiyar kab

'agha' ko zabh karte ho apni gali mein kyun

jaez hai meri jaan haram mein shikar kab

(1680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Malte Hain Hath, Hath Lagenge Anar Kab In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Malte Hain Hath, Hath Lagenge Anar Kab is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Malte Hain Hath, Hath Lagenge Anar Kab for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Malte Hain Hath, Hath Lagenge Anar Kab in PDF.