Maza Hai Imtihan Ka Aazma Le Jis Ka Ji Chahe

maza hai imtihan ka aazma le jis ka ji chahe

namak zaKHm-e-jigar par aur Dale jis ka ji chahe

jigar maujud hai to wo bana le jis ka ji chahe

gala hazir hai KHanjar aazma le jis ka ji chahe

agar hai husn ka dawa mah o KHurshid donon mein

kaf-e-pa se tumhaare munh mila le jis ka ji chahe

ye musht-e-ustuKHwan apne kisi ke kaam mein aaen

huma ho ya sag-e-dildar kha le jis ka ji chahe

agar hai zindagi baqi to hum hasrat nikalenge

dil-e-pur-arzu par KHak Dale jis ka ji chahe

faqiron ko nahin kuchh zinat-e-duniya se matlab hai

main KHush kambal mein hun oDhe doshaale jis ka ji chahe

jo raushan dil mein un ki raushni chhupti nahin hargiz

mah-e-taban pe sahab KHak Dale jis ka ji chahe

shikayat mujh ko donon se hai naseh ho ki waiz ho

na samjha hun na samjhun sar phira le jis ka ji chahe

main hun barg-e-KHizan-uftada main mardud dahqan hun

gira hun un ki nazron se uTha le jis ka ji chahe

nahin hota kabhi aab-e-rawan par shak najasat ka

mere ashkon ke dariya mein naha le jis ka ji chahe

chaman mein gul ke murjhane se 'agha' ho gaya sabit

bisan-e-ghuncha dam bhar muskura le jis ka ji chahe

(1638) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maza Hai Imtihan Ka Aazma Le Jis Ka Ji Chahe In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Maza Hai Imtihan Ka Aazma Le Jis Ka Ji Chahe is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Maza Hai Imtihan Ka Aazma Le Jis Ka Ji Chahe for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Maza Hai Imtihan Ka Aazma Le Jis Ka Ji Chahe in PDF.