Muddat Ke Baad Isne Likha Mere Nam KHat

muddat ke baad is ne likha mere nam KHat

meri shikayaton se bhara hai tamam KHat

ghabra na is qadar dil-e-betab sabr kar

aata hai koi roz mein ab subh-o-sham KHat

likkha hua hai KHas tumhaare hi hath ka

pahchanta hai KHub tumhaara ghulam KHat

tahrir un ki sina pe rakh dijiyo mere

badle jawab-e-nama ke aaega kaam KHat

likkha hai ab na likkhenge hum koi KHat tujhe

KHat aaya meri maut ka laya payam KHat

zaea na jaegi teri mehnat kisi tarah

qasid ajura deta hun chuTki mein tham KHat

aashiq-nawaziyan hain tabiat mein yar ki

likkha hai har mahine mein bhejo mudam KHat

tahrir kar ke saikaDon wade mukar gae

dikhlaunga huzur ko roz-e-qayam KHat

KHat likh ke aaj Dak pe pahunchenge yar ko

pahunchaega hamara payam-o-salam KHat

'agha' nisar hojiye inam dijiye

laya hai un ka qasid-e-sarsar-KHiram KHat

(1706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddat Ke Baad Isne Likha Mere Nam KHat In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Muddat Ke Baad Isne Likha Mere Nam KHat is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Muddat Ke Baad Isne Likha Mere Nam KHat for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Muddat Ke Baad Isne Likha Mere Nam KHat in PDF.