Nahin Mumkin Ki Tere Hukm Se Bahar Main Hun

nahin mumkin ki tere hukm se bahar main hun

ai sanam tabe-e-farman-e-muqaddar main hun

dil to hairan hai kyun shashdar-o-muztar main hun

ishq kahta hai ki us parde ke andar main hun

pairaw-e-silsila-e-zulf-e-muambar main hun

tauq se uzr na zanjir se bahar main hun

aab-ru-e-sadaf o zinat-e-gosh-e-mahbub

durr-e-nayab jo sunte ho wo gauhar main hun

ab subuk-dosh main hun bojh gale ka Tal jae

tegh-e-qatil se ilahi kahen be-sar main hun

taer-e-qibla-numa ka hai ishaara mujh se

nama pahunchane ko pardar kabutar main hun

aai phir fasl-e-bahaari madad ai josh-e-junun

do qadam chal nahin sakta hun wo laghar main hun

nutq kahta hai ki isa mera dam bharta hai

dahan-e-yar ko dawa hai ki kausar main hun

jadu bar-haq hai to kafir hai ayan ra-che-bayan

tera mara hua ai chashm-e-fusun-gar main hun

mohtasib ko bhi hidayat karun mai-noshi ki

waiza teri jagah gar sar-e-mimbar main hun

na unhen meri shikayat na mujhe un ka gila

na kudurat unhen mujh se na mukaddar main hun

hairat-e-husn se ek sakta ka aalam dekha

aaina munh ko tere takta hai shashdar main hun

daur-e-farhad gaya ye hai zamana mera

be-sutun ab to uThae hue sar par main hun

aaj-kal husn-e-jawani pe jo hai un ko ghurur

naz kahta hai ki andaz se bahar main hun

barq o simab ka 'agha' na rahe nam-o-nishan

dil ki betabi se ek bar jo muztar main hun

(573) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Mumkin Ki Tere Hukm Se Bahar Main Hun In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Nahin Mumkin Ki Tere Hukm Se Bahar Main Hun is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Nahin Mumkin Ki Tere Hukm Se Bahar Main Hun for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Nahin Mumkin Ki Tere Hukm Se Bahar Main Hun in PDF.