Panw Phir Howenge Aur Dasht-e-mughilan Hoga

panw phir howenge aur dasht-e-mughilan hoga

hath phir howenge aur apna gareban hoga

dil-e-wahshi tu na kar ishq pareshan hoga

misl aaina ke phir shashdar-o-hairan hoga

gar yahi ishq ka aaghaz hai to sun lena

lash howegi meri kucha-e-jaanan hoga

Dub kar marne ka shauq us se hi puchh ai qatil

jis ne dekha ye tera chah-e-zanaKHdan hoga

kahti thi dam mein sayyaad ke ro kar bulbul

ab kabhi hum ko mayassar na gulistan hoga

jitne duniya mein sitam chahe tu kar le mujh par

hashr mein hath mera tera gareban hoga

jaan de baiThega ek roz tu us par 'agha'

wo nahin haal ka tere kabhi pursan hoga

(1380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Panw Phir Howenge Aur Dasht-e-mughilan Hoga In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Panw Phir Howenge Aur Dasht-e-mughilan Hoga is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Panw Phir Howenge Aur Dasht-e-mughilan Hoga for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Panw Phir Howenge Aur Dasht-e-mughilan Hoga in PDF.