Numud-e-qudrat-e-parwardigar Hum Bhi Hain

numud-e-qudrat-e-parwardigar hum bhi hain

natija-e-chaman-e-rozgar hum bhi hain

sharik-e-sohbat-e-aghyar-o-yar hum bhi hain

gulon mein gul hain to KHaron mein KHar hum bhi hain

muqabil-e-chaman-e-lala-zar hum bhi hain

jigar ke daghon se rashk-e-bahaar hum bhi hain

karo hijab na hum se alag alag na phiro

idhar bhi aao ki yaron ke yar hum bhi hain

wo kahte hain ki bila-shak hai dil ko dil se rah

tumhaari tarah se ab be-qarar hum bhi hain

udhaar bhi hamein mil jati hai mai-e-gul-rang

kalal-KHane mein zi-e'tibar hum bhi hain

KHizan ka daKHl nahin hai hamare gulshan mein

bisan-e-sarw hamesha bahaar hum bhi hain

KHuda wo din to dikhae hamein samajh lenge

shab-e-visal bhi baqi hai yar hum bhi hain

bat-e-sharab uDaenge meinh barasne do

KHuda ke fazl ke ummid-war hum bhi hain

sharik-e-haal hain har dil-jale ki sohbat mein

jo shama roti hai to ashk-bar hum bhi hain

hamein satao na itna buto KHuda se Daro

ki ek banda-e-parwardigar hum bhi hain

nasib ranj hua jab KHushi ke din aae

KHizan-rasida-e-fasl-e-bahaar hum bhi hain

wo dam-e-gesu mein dil ko phansate hain 'agha'

jahan mein shaer-e-mazmun-shikar hum bhi hain

(1848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Numud-e-qudrat-e-parwardigar Hum Bhi Hain In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Numud-e-qudrat-e-parwardigar Hum Bhi Hain is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Numud-e-qudrat-e-parwardigar Hum Bhi Hain for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Numud-e-qudrat-e-parwardigar Hum Bhi Hain in PDF.