Lo Andheron Ne Bhi Andaz Ujalon Ke Liye

lo andheron ne bhi andaz ujalon ke liye

kaisi uftad paDi dekhne walon ke liye

taza-kari ne wahan kar diye aalam ijad

hum taraste hi rahe taza KHayalon ke liye

shah-rahon se guzarte hain shab-o-roz hujum

nai rahen hain faqat chand jiyalon ke liye

kaam mazi ki ye sada-nigahi kya aati

asr-e-hazir tere pechida sawalon ke liye

kitni shamen bujhin nadida kiran ki KHatir

kitne suraj liye mauhum ujalon ke liye

kitne sangin haqaeq se nichoDa hai lahu

chand KHwabon ke liye chand KHayalon ke liye

go nigah-dari-e-adab-e-junun mushkil hai

phir bhi aasan hai tere chahne walon ke liye

(1405) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lo Andheron Ne Bhi Andaz Ujalon Ke Liye In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Lo Andheron Ne Bhi Andaz Ujalon Ke Liye is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Lo Andheron Ne Bhi Andaz Ujalon Ke Liye for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Lo Andheron Ne Bhi Andaz Ujalon Ke Liye in PDF.