Log Tanhai Ka Kis Darja Gila Karte Hain

log tanhai ka kis darja gila karte hain

aur fankar to tanha hi raha karte hain

wo tabassum hai ki 'ghaalib' ki tarah-dar ghazal

der tak us ki balaghat ko paDha karte hain

koi jadu koi jalwa koi masti koi mauj

hum inhin chand sahaaron pe jiya karte hain

din pe yaron ko andhere ka guman hota hai

hum andhere mein kiran DhunDh liya karte hain

bastiyan kuchh huin viran to matam kaisa

kuchh KHarabe bhi to aabaad hua karte hain

sunne walon ki hai taufiq sunen ya na sunen

baat kahne ki jo hai hum to kaha karte hain

sahil o bahr ke aain salamat na rahe

ab to sahil se bhi tufan uTha karte hain

log baaton mein baha dete hain is daur ka dard

aur ashaar mein hum Dhaal liya karte hain

(1546) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Log Tanhai Ka Kis Darja Gila Karte Hain In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Log Tanhai Ka Kis Darja Gila Karte Hain is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Log Tanhai Ka Kis Darja Gila Karte Hain for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Log Tanhai Ka Kis Darja Gila Karte Hain in PDF.