Nawa-e-shauq Mein Shorish Bhi Hai Qarar Bhi Hai

nawa-e-shauq mein shorish bhi hai qarar bhi hai

KHirad ka pas bhi KHwabon ka karobar bhi hai

hazar bar bahaaron ne dukh diya mujh ko

na jaane kya kya hai bahaaron ka intizar bhi hai

jahan mein ho gai na-haq teri jafa badnam

kuchh ahl-e-shauq ko dar-o-rasan se pyar bhi hai

mere lahu mein ab itna bhi rang kya hota

taraaz-e-shauq mein aks-e-ruKH-e-nigar bhi hai

mere safine ko sahil ki justuju hi nahin

sitam ye hai kisi tufan ka intizar bhi hai

chaman hi ek nahin aaina meri masti ka

gawah josh-e-junun ki zaban-e-KHar bhi hai

ghurur-e-ishq ghurur-e-wafa ghurur-e-nazar

'surur' tere gunahon ka kuchh shumar bhi hai

(1382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nawa-e-shauq Mein Shorish Bhi Hai Qarar Bhi Hai In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Nawa-e-shauq Mein Shorish Bhi Hai Qarar Bhi Hai is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Nawa-e-shauq Mein Shorish Bhi Hai Qarar Bhi Hai for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Nawa-e-shauq Mein Shorish Bhi Hai Qarar Bhi Hai in PDF.