Safar Tawil Sahi Hasil-e-safar Kya Tha

safar tawil sahi hasil-e-safar kya tha

hamare pas ba-juz daulat-e-nazar kya tha

labon se yun to baraste the pyar ke naghme

magar nigahon mein yaron ke neshtar kya tha

ye zulmaton ke parastar kya KHabar hote

meri nawa mein ba-juz muzhda-e-sahar kya tha

har ek abr mein hai ek lakir chandi ki

wagarna apni duaon mein bhi asar kya tha

hazar KHwab luTe KHwab dekhna na gaya

yahi tha apna muqaddar to phir mafar kya tha

ghurur andhere ka toDa usi se haar gaya

numud ek sharar ki thi ya bashar kya tha

koi KHalish jo muqaddar thi umr bhar na gai

ilaj aise marizon ka chaara-gar kya tha

(1751) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Tawil Sahi Hasil-e-safar Kya Tha In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Safar Tawil Sahi Hasil-e-safar Kya Tha is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Safar Tawil Sahi Hasil-e-safar Kya Tha for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Safar Tawil Sahi Hasil-e-safar Kya Tha in PDF.