Shaguftagi-e-dil-e-viran Mein Aaj Aa Hi Gai

shaguftagi-e-dil-e-viran mein aaj aa hi gai

ghaTa chaman pe bahaaron ko le ke chha hi gai

hayat-e-taza ke KHatron se dil dhaDakta tha

hawa chali to kali phir bhi muskura hi gai

naqab mein bhi wo jalwe na qaid ho pae

kiran dilon ke andhere ko jagmaga hi gai

taghaful ek bharam tha ghurur-e-jaanan ka

meri nigah-e-mohabbat ka ramz pa hi gai

mutalbe to bahut saKHt the zamane ke

magar huquq-e-mohabbat ki yaad aa hi gai

mere junun ki KHalish se ab aur kya hota

sukut-e-ahl-e-KHirad ko to aazma hi gai

mata-e-qalb-o-nazar KHak hote hote bhi

jahan-e-husn ki kuchh aabru baDha hi gai

thapak thapak ke sulaya jo tum ne zauq-e-suKHan

'surur' is ko kisi ki nazar jaga hi gai

(1508) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shaguftagi-e-dil-e-viran Mein Aaj Aa Hi Gai In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Shaguftagi-e-dil-e-viran Mein Aaj Aa Hi Gai is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Shaguftagi-e-dil-e-viran Mein Aaj Aa Hi Gai for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Shaguftagi-e-dil-e-viran Mein Aaj Aa Hi Gai in PDF.