Siyah Raat Ki Sab Aazmaishen Manzur

siyah raat ki sab aazmaishen manzur

kisi sahar ke ujale ka aasra to mila

nazar mila na sake hum se wo to gham kya hai

ki dil se dil ke dhaDakne ka silsila to mila

hai aaj aur hi kuchh zulf-e-tabdar mein KHam

bhaTakne wale ko manzil ka rasta to mila

sarishk-e-chashm se moti bahut luTae gae

teri nigah ke shahidon ko KHun-baha to mila

jahan nigah se insan banae jate hain

wo bab-e-mai-kada mere liye khula to mila

sitam-zarif mohabbat ko jurm kahte hain

gunah-gar ko jine ka aasra to mila

na rahnuma hai na manzil dayar-e-ulfat mein

qadam uThate hi KHizr-e-shikasta-pa to mila

mere junun ne khilae hain phul sahra mein

mere junun se bahaaron ko hausla to mila

samajhte the ki wafa-na-shanas hai duniya

'surur' hum ko bhi ek dard-ashna to mila

(1719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Siyah Raat Ki Sab Aazmaishen Manzur In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Siyah Raat Ki Sab Aazmaishen Manzur is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Siyah Raat Ki Sab Aazmaishen Manzur for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Siyah Raat Ki Sab Aazmaishen Manzur in PDF.