Tu Payambar Sahi Ye Moajiza Kafi To Nahin

tu payambar sahi ye moajiza kafi to nahin

shairi zist ke zaKHmon ki talafi to nahin

saya-e-gul mein zara der jo sustae hain

saya-e-dar se ye wada-KHilafi to nahin

apni duniya se mili fursat-e-yak-jast hamein

aasman ke liye ek jast hi kafi to nahin

kisi chaDhte hue suraj ki parastish na karo

dekh lo is mein koi shoabada-bafi to nahin

tishnagi hum ko mili tum hue sairab to kya

in muqaddar ki sazaon se muafi to nahin

dew-mala ka dhundlaka ho ki KHwabon ki kiran

aaj ki aaina-sazi ki munafi to nahin

KHwab Takrao haqiqat se ki shoale niklen

is andhere mein diya ek hi kafi to nahin

(1448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Payambar Sahi Ye Moajiza Kafi To Nahin In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Tu Payambar Sahi Ye Moajiza Kafi To Nahin is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Tu Payambar Sahi Ye Moajiza Kafi To Nahin for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Tu Payambar Sahi Ye Moajiza Kafi To Nahin in PDF.