Wo Ehtiyat Ke Mausam Badal Gae Kaise

wo ehtiyat ke mausam badal gae kaise

charagh dil ke andhere mein jal gae kaise

bana diya tha zamane ne barf ke manind

hum ek shoKH kiran se pighal gae kaise

umid jin se thi waz-e-junun nibhane ki

wo log waqt ke sanche mein Dhal gae kaise

sitare jazb hue gard-e-rah mein kya kya

KHayal-o-KHwab ke aain badal gae kaise

KHizan se jin ko bacha lae the jatan kar ke

wo naKHl ab ke bahaaron mein jal gae kaise

na jaane kyun jinhen samjhe the hum farishte hain

qarib aae to chehre badal gae kaise

har ek saya-e-diwar ki lapeT mein hai

'surur' aap hi bach kar nikal gae kaise

(1403) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ehtiyat Ke Mausam Badal Gae Kaise In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Wo Ehtiyat Ke Mausam Badal Gae Kaise is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Wo Ehtiyat Ke Mausam Badal Gae Kaise for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Wo Ehtiyat Ke Mausam Badal Gae Kaise in PDF.