Aaj Se Pahle Tere Maston Ki Ye KHwari Na Thi

aaj se pahle tere maston ki ye KHwari na thi

mai baDi ifraat se thi phir bhi sarshaari na thi

ek hum qadron ki pamali se rahte the malul

shukr hai yaron ko aisi koi bimari na thi

zehn ki parwaz ho ya shauq ki ramish-gari

koi aazadi na thi jis mein giraftari na thi

josh tha hangama tha mahfil mein teri kya na tha

ek faqat aadab-e-mahfil ki nigah-dari na thi

un ki mahfil mein nazar aae sabhi shoala-ba-kaf

apne daman mein magar koi bhi chingari na thi

kal isi basti mein kuchh ahl-e-wafa hote to the

is qadar ahl-e-hawas ki garm-bazari na thi

husn kafir tha ada qatil thi baaten sehr thin

aur to sab kuchh tha lekin rasm-e-dildari na thi

(1392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Se Pahle Tere Maston Ki Ye KHwari Na Thi In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Aaj Se Pahle Tere Maston Ki Ye KHwari Na Thi is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Aaj Se Pahle Tere Maston Ki Ye KHwari Na Thi for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Aaj Se Pahle Tere Maston Ki Ye KHwari Na Thi in PDF.