Dastan-e-shauq Kitni Bar Dohrai Gai

dastan-e-shauq kitni bar dohrai gai

sunne walon mein tawajjoh ki kami pai gai

fikr hai sahmi hui jazba hai murjhaya hua

mauj ki shorish gai dariya ki gahrai gai

husn bhi hai maslahat-bin ishq bhi duniya-shanas

aap ki shohrat gai yaron ki ruswai gai

hum to kahte the zamana hi nahin jauhar-shanas

ghaur se dekha to apne mein kami pai gai

zaKHm milte hain ilaj-e-zaKHm-e-dil milta nahin

waz-e-qatil rah gai rasm-e-masihai gai

gard uDai jo siyasat ne wo aaKHir dhul gai

ahl-e-dil ki KHak mein bhi zindagi pai gai

meri maddham lai ka jadu ab bhi baqi hai 'surur'

fasl ke naghme gae mausam ki shahnai gai

(1738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dastan-e-shauq Kitni Bar Dohrai Gai In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Dastan-e-shauq Kitni Bar Dohrai Gai is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Dastan-e-shauq Kitni Bar Dohrai Gai for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Dastan-e-shauq Kitni Bar Dohrai Gai in PDF.