Ek Diwane Ko Itna Hi Sharaf Kya Kam Hai

ek diwane ko itna hi sharaf kya kam hai

zulf o zanjir se yak-guna shaghaf kya kam hai

shauq ke hath bhala chand ko chhu sakte hain

chandni dil mein rahe ye bhi sharaf kya kam hai

kaun is daur mein karta hai junun se sauda

tere diwanon ki TuTi hui saf kya kam hai

aag bhaDki jo idhar bhi to bachegi kya shai

shola-e-shauq ki lau ek taraf kya kam hai

main ne har mauj ko mauj-e-guzaran samjha hai

warna tufanon ka ruKH meri taraf kya kam hai

kali raaton mein ujale se mohabbat ki hai

subah ki bazm mein apna ye sharaf kya kam hai

(1304) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Diwane Ko Itna Hi Sharaf Kya Kam Hai In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Ek Diwane Ko Itna Hi Sharaf Kya Kam Hai is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Ek Diwane Ko Itna Hi Sharaf Kya Kam Hai for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Ek Diwane Ko Itna Hi Sharaf Kya Kam Hai in PDF.