Hamare Hath Mein Jab Koi Jam Aaya Hai

hamare hath mein jab koi jam aaya hai

to lab pe kitne hi pyason ka nam aaya hai

kahan ka nur yahan raat ho gai gahri

mera charagh andheron ke kaam aaya hai

ye kya ghazab hai jo kal tak sitam-rasida the

sitamgaron mein ab un ka bhi nam aaya hai

tamam umr kaTi us ki justuju karte

baDe dinon mein ye tarz-e-kalam aaya hai

baDhun to rakh banun muD chalun to pathra jaun

safar mein shauq ke nazuk maqam aaya hai

KHabar bhi hai mere gulshan ke lala o gul ko

mera lahu bhi bahaaron ke kaam aaya hai

wo sar-phire jo nigah-dari-e-junun mein rahe

'surur' un mein hamara bhi nam aaya hai

(1611) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Hath Mein Jab Koi Jam Aaya Hai In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Hamare Hath Mein Jab Koi Jam Aaya Hai is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Hamare Hath Mein Jab Koi Jam Aaya Hai for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Hamare Hath Mein Jab Koi Jam Aaya Hai in PDF.