Hamein To Mai-kade Ka Ye Nizam Achchha Nahin Lagta

hamein to mai-kade ka ye nizam achchha nahin lagta

na ho sab ke liye gardish mein jam achchha nahin lagta

kabhi tanhai ki KHwahish ye hoti hai ki logon ka

payam achchha nahin lagta salam achchha nahin lagta

KHuda se lau lagaen ya KHudai se rahe rishta

faqat apni KHudi ka ehtiram achchha nahin lagta

jabin-e-pur-shikan KHasan-e-alam ki nahin bhati

magar ye bhi hai ghaugha-e-awam achchha nahin lagta

na KHushbu pairahan ki hai na zulfon ki na baaton ki

hamein ye jalwa-e-baala-e-baam achchha nahin lagta

mayassar ho to qadre lutf bhi nemat hai yan yaro

kisi ka wada-e-aish-e-dawam achchha nahin lagta

ye sasti lazzaton sasti siyasat ke pujari hain

hamein ahbab ka sauda-e-KHam achchha nahin lagta

jahan harkat nahin hoti wahan barkat nahin hoti

'surur' ab wadi-e-gul mein qayam achchha nahin lagta

(1510) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein To Mai-kade Ka Ye Nizam Achchha Nahin Lagta In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Hamein To Mai-kade Ka Ye Nizam Achchha Nahin Lagta is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Hamein To Mai-kade Ka Ye Nizam Achchha Nahin Lagta for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Hamein To Mai-kade Ka Ye Nizam Achchha Nahin Lagta in PDF.