Har Ek Jannat Ke Raste Ho Ke DozaKH Se Nikalte Hain

har ek jannat ke raste ho ke dozaKH se nikalte hain

unhen ka haq hai phulon par jo angaron pe chalte hain

haqaeq un se Takra kar nae sanchon mein Dhalte hain

baDe hi saKHt-jaan hote hain jo KHwabon pe palte hain

guman hota hai jin maujon pe ek naqsh-e-hubabi ka

unhi soi hui maujon mein kuchh tufan palte hain

wo raat aaKHir hui to kya ye din kab rahne wala hai

sitare mand hote hain agar suraj bhi Dhalte hain

talawwun chashm-e-saqi mein taghayyur waz-rindi mein

hamare mai-kade mein rose paimane badalte hain

haqaeq sard ho sakte hain sab mehrab-o-mimbar ke

magar wo KHwab jo rindon ke paimane mein Dhalte hain

junun ne aalam-e-wahshat mein jo rahen nikali hain

KHirad ke karwan aaKHir unhi rahon pe chalte hain

'surur'-e-sada ko yun to lahu rona hi aata hai

magar is sadgi mein bhi baDe pahlu nikalte hain

(1553) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Jannat Ke Raste Ho Ke DozaKH Se Nikalte Hain In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Har Ek Jannat Ke Raste Ho Ke DozaKH Se Nikalte Hain is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Har Ek Jannat Ke Raste Ho Ke DozaKH Se Nikalte Hain for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Har Ek Jannat Ke Raste Ho Ke DozaKH Se Nikalte Hain in PDF.