Hum Barq-o-sharar Ko Kabhi KHatir Mein Na Lae

hum barq-o-sharar ko kabhi KHatir mein na lae

us fitna-e-dauran ko magar dekh na pae

go qatre mein dariyaon ka tufan samae

par shauq ki rudad kab alfaz mein aae

zulfon ko diya hai ruKH-e-zeba ne ajab rang

jalwon se tere aur bhi raushan hue sae

ye ishq ke shoale bhi ajab chizen hain yani

jo aag lagae wahi KHud aag bujhae

Dhalti hai wo mai ek tere paimane mein saqi

masti ko bhi jo hosh ke aadab sikhae

teri hi nigahon ka tasarruf tha ki hum ne

ranai-e-afkar ke eajaz dikhae

jis dil pe kisi ki nigah-e-lutf paDi thi

baiThe hain 'surur' us ko kaleje se lagae

(1233) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Barq-o-sharar Ko Kabhi KHatir Mein Na Lae In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Hum Barq-o-sharar Ko Kabhi KHatir Mein Na Lae is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Hum Barq-o-sharar Ko Kabhi KHatir Mein Na Lae for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Hum Barq-o-sharar Ko Kabhi KHatir Mein Na Lae in PDF.