Jab Kabhi Baat Kisi Ki Bhi Buri Lagti Hai

jab kabhi baat kisi ki bhi buri lagti hai

aisa lagta hai ki sine mein chhuri lagti hai

raat bhaari thi to the us ke sitam se be-zar

subh aai hai to wo aur buri lagti hai

wo ho aaraish-e-afkar ki zebaish-e-fan

aaj donon ki rawish KHana-puri lagti hai

log mange ke ujale se hain aise marub

raushni apne charaghon ki buri lagti hai

ahl-e-danish hue arbab-e-siyasat ke murid

aisi pasti pe mere dil mein chhuri lagti hai

(1534) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Jab Kabhi Baat Kisi Ki Bhi Buri Lagti Hai In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Jab Kabhi Baat Kisi Ki Bhi Buri Lagti Hai is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Jab Kabhi Baat Kisi Ki Bhi Buri Lagti Hai for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Jab Kabhi Baat Kisi Ki Bhi Buri Lagti Hai in PDF.