Jabr-e-haalat Ka To Nam Liya Hai Tumne

jabr-e-haalat ka to nam liya hai tum ne

apne sar bhi kabhi ilzam liya hai tum ne

mai-kashi ke bhi kuchh aadab baratna sikho

hath mein apne agar jam liya hai tum ne

umr guzri hai andhere ka hi matam karte

apne shole se bhi kuchh kaam liya hai tum ne

hum faqiron se sataish ki tamanna kaisi

shahryaron se jo inam liya hai tum ne

qarz bhi un ke muani ka ada karna hai

garche lafzon se baDa kaam liya hai tum ne

un usulon ke kabhi zaKHm bhi khae hote

jin usulon ka bahut nam liya hai tum ne

lab pe aate hain bahut zauq-e-safar ke naghme

aur har gam pe aaram liya hai tum ne

(1462) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jabr-e-haalat Ka To Nam Liya Hai Tumne In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Jabr-e-haalat Ka To Nam Liya Hai Tumne is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Jabr-e-haalat Ka To Nam Liya Hai Tumne for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Jabr-e-haalat Ka To Nam Liya Hai Tumne in PDF.