Jis Ne Kiye Hain Phul Nichhawar Kabhi Kabhi

jis ne kiye hain phul nichhawar kabhi kabhi

aae hain us ki samt se patthar kabhi kabhi

hum jis ke ho gae wo hamara na ho saka

yun bhi hua hisab barabar kabhi kabhi

yan tishna-kaamiyan to muqaddar hain zist mein

milti hai hausle ke barabar kabhi kabhi

aati hai dhaar un ke karam se shuur mein

dushman mile hain dost se behtar kabhi kabhi

manzil ki justuju mein jise chhoD aae the

aata hai yaad kyun wahi manzar kabhi kabhi

mana ye zindagi hai farebon ka silsila

dekho kisi fareb ke jauhar kabhi kabhi

yun to nashat-e-kar ki sarshaariyan milin

anjam-e-kar ka bhi raha Dar kabhi kabhi

dil ki jo baat thi wo rahi dil mein ai 'surur'

khole hain garche shauq ke daftar kabhi kabhi

(1754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ne Kiye Hain Phul Nichhawar Kabhi Kabhi In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Jis Ne Kiye Hain Phul Nichhawar Kabhi Kabhi is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Jis Ne Kiye Hain Phul Nichhawar Kabhi Kabhi for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Jis Ne Kiye Hain Phul Nichhawar Kabhi Kabhi in PDF.