Hamin Ne Unki Taraf Se Mana Liya Dil Ko

hamin ne un ki taraf se mana liya dil ko

wo karte uzr to ye aur bhi garan hota

samajh to ye ki na samjhe KHud apna rang-e-junun

mizaj ye ki zamana mizaj-dan hota

bhari bahaar ke din hain KHayal aa hi gaya

ujaD na jaata to phulon mein aashiyan hota

dimagh arsh pe hai tere dar ki Thokar se

nasib hota jo sajda to main kahan hota

(1420) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamin Ne Unki Taraf Se Mana Liya Dil Ko In English By Famous Poet Aal-e-Raza Raza. Hamin Ne Unki Taraf Se Mana Liya Dil Ko is written by Aal-e-Raza Raza. Read famous Poem Hamin Ne Unki Taraf Se Mana Liya Dil Ko for youth and Student by Aal-e-Raza Raza. Free Download Hamin Ne Unki Taraf Se Mana Liya Dil Ko in PDF.