Wahi Aangan Wahi KhiDki Wahi Dar Yaad Aata Hai

wahi aangan wahi khiDki wahi dar yaad aata hai

akela jab bhi hota hun mujhe ghar yaad aata hai

meri be-saKHta hichki mujhe khul kar batati hai

tere apnon ko ganw mein to akasr yaad aata hai

jo apne pas hon un ki koi qimat nahin hoti

hamare bhai ko hi lo bichhaD kar yaad aata hai

saphalta ke safar mein to kahan fursat ki kuchh sochen

magar jab choT lagti hai muqaddar yaad aata hai

may aur june ki garmi badan se jab Tapakti hai

nowember yaad aata hai december yaad aata hai

(3208) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Aangan Wahi KhiDki Wahi Dar Yaad Aata Hai In English By Famous Poet Aalok Shrivastav. Wahi Aangan Wahi KhiDki Wahi Dar Yaad Aata Hai is written by Aalok Shrivastav. Read famous Poem Wahi Aangan Wahi KhiDki Wahi Dar Yaad Aata Hai for youth and Student by Aalok Shrivastav. Free Download Wahi Aangan Wahi KhiDki Wahi Dar Yaad Aata Hai in PDF.