Ye Aur Baat Dur Rahe Manzilon Se Hum

ye aur baat dur rahe manzilon se hum

bach kar chale hamesha magar qafilon se hum

hone ko phir shikar nai uljhanon se hum

milte hain roz apne kai doston se hum

barson fareb khate rahe dusron se hum

apni samajh mein aae baDi mushkilon se hum

manzil ki hai talab to hamein sath le chalo

waqif hain KHub rah ki barikiyon se hum

jin ke paron se subh ki KHushbu ke rang hain

bachpan udhaar lae hain un titliyon se hum

guzre hamare ghar ki kisi rahguzar se wo

parde haTae dekhen unhen khiDkiyon se hum

ab to hamare beach kabhi duriyan bhi hon

tang aa gae hain roz ki nazdikiyon se hum

jab bhi kaha ki yaad hamari kahan unhen

pakDe gae hain Thik tabhi hichkiyon se hum

(1203) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aur Baat Dur Rahe Manzilon Se Hum In English By Famous Poet Aalok Shrivastav. Ye Aur Baat Dur Rahe Manzilon Se Hum is written by Aalok Shrivastav. Read famous Poem Ye Aur Baat Dur Rahe Manzilon Se Hum for youth and Student by Aalok Shrivastav. Free Download Ye Aur Baat Dur Rahe Manzilon Se Hum in PDF.