Ab Tumko Hi Sawan Ka Sandesa Nahin Banna

ab tum ko hi sawan ka sandesa nahin banna

mujh ko bhi kisi aur ka rasta nahin banna

kahti hai ki aankhon se samundar ko nikalo

hansti hai ki tum se to kinara nahin banna

mohtat hai itni ki kabhi KHat nahin likhti

kahti hai mujhe auron ke jaisa nahin banna

taswir banaun to bigaD jati hai mujh se

aisa nahin banna mujhe waisa nahin banna

is tarah ke lab kaun tarashega dobara

is tarah ka chehra to kisi ka nahin banna

chehre pe kisi aur ki palken nahin jhukti

aankhon mein kisi aur ka naqsha nahin banna

main soch raha hun ki main hun bhi ki nahin hun

tum zid pe aDi ho ki kisi ka nahin banna

main raat ki inTen to bahut joD raha hun

par mujh se tere din ka daricha nahin banna

inkar to yun karti hai jaise ki kabhi bhi

chhanw nahin banna use saya nahin banna

is dard ki tahwil mein rahte hue hum ko

chup-chap bikharna hai tamasha nahin banna

us ne mujhe rakhna hi nahin aankhon mein 'amir'

aur mujh se koi aur Thikana nahin banna

(1184) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Tumko Hi Sawan Ka Sandesa Nahin Banna In English By Famous Poet Aamir Suhail. Ab Tumko Hi Sawan Ka Sandesa Nahin Banna is written by Aamir Suhail. Read famous Poem Ab Tumko Hi Sawan Ka Sandesa Nahin Banna for youth and Student by Aamir Suhail. Free Download Ab Tumko Hi Sawan Ka Sandesa Nahin Banna in PDF.