Milan Ki Saat Ko Is Tarah Se Amar Kiya Hai

milan ki saat ko is tarah se amar kiya hai

tumhaari yaadon ke sath tanha safar kiya hai

suna hai us rut ko dekh kar tum bhi ro paDe the

suna hai barish ne pattharon par asar kiya hai

salib ka bar bhi uThao tamam jiwan

ye lab-kushai ka jurm tum ne agar kiya hai

tumhein KHabar thi haqiqaten talKH hain jabhi to!

tumhaari aankhon ne KHwab ko mo'atabar kiya hai

ghuTan baDhi hai to phir usi ko sadaen di hain

ki jis hawa ne har ek shajar be-samar kiya hai

hai tere andar basi hui ek aur duniya

magar kabhi tu ne itna lamba safar kiya hai

mere hi dam se to raunaqen tere shahr mein thin

mere hi qadmon ne dasht ko rah-guzar kiya hai

tujhe KHabar kya mere labon ki KHamoshiyon ne!

tere fasane ko kis qadar muKHtasar kiya hai

bahut si aankhon mein tirgi ghar bana chuki hai

bahut si aankhon ne intizar-e-sahar kiya hai

(1549) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Milan Ki Saat Ko Is Tarah Se Amar Kiya Hai In English By Famous Poet Aanis Moin. Milan Ki Saat Ko Is Tarah Se Amar Kiya Hai is written by Aanis Moin. Read famous Poem Milan Ki Saat Ko Is Tarah Se Amar Kiya Hai for youth and Student by Aanis Moin. Free Download Milan Ki Saat Ko Is Tarah Se Amar Kiya Hai in PDF.