KHabar To Dur Amin-e-KHabar Nahin Aae

KHabar to dur amin-e-KHabar nahin aae

bahut dinon se wo lashkar idhar nahin aae

ye baat yaad rakhenge talashne wale

jo us safar pe gae lauT kar nahin aae

tilism unghti raaton ka toDne wale

wo muKHbiran-e-sahar phir nazar nahin aae

zarur tujh se bhi ek roz ub jaenge

KHuda kare ki teri rahguzar nahin aae

sawal karti kai aankhen muntazir hain yahan

jawab aaj bhi hum soch kar nahin aae

udas suni si chhat aur do bujhi aankhen

kai dinon se phir 'ashufta' ghar nahin aae

(1230) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHabar To Dur Amin-e-KHabar Nahin Aae In English By Famous Poet Aashufta Changezi. KHabar To Dur Amin-e-KHabar Nahin Aae is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem KHabar To Dur Amin-e-KHabar Nahin Aae for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download KHabar To Dur Amin-e-KHabar Nahin Aae in PDF.