Kis Ki Talash Hai Hamein Kis Ke Asar Mein Hain

kis ki talash hai hamein kis ke asar mein hain

jab se chale hain ghar se musalsal safar mein hain

sare tamashe KHatm hue log ja chuke

ek hum hi rah gae jo fareb-e-sahar mein hain

aisi to koi KHas KHata bhi nahin hui

han ye samajh liya tha ki hum apne ghar mein hain

ab ke bahaar dekhiye kya naqsh chhoD jae

aasar baadalon ke na patte shajar mein hain

tujh se bichhaDna koi naya hadsa nahin

aise hazaron qisse hamari KHabar mein hain

'ashufta' sab guman dhara rah gaya yahan

kahte na the ki KHamiyan tere hunar mein hain

(1678) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ki Talash Hai Hamein Kis Ke Asar Mein Hain In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Kis Ki Talash Hai Hamein Kis Ke Asar Mein Hain is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Kis Ki Talash Hai Hamein Kis Ke Asar Mein Hain for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Kis Ki Talash Hai Hamein Kis Ke Asar Mein Hain in PDF.