Koi Ghul Hua Tha Na Shor-e-KHizan

koi ghul hua tha na shor-e-KHizan

ujaDne lagin KHud-ba-KHud bastiyan

jise dekhne ghar se nikle the hum

dhuan ho gaya sham ka wo saman

sabhi kuchh to dariya baha le gaya

tujhe aur kya chahiye aasman

bas ek dhund hai aur kuchh bhi nahin

rawana hui thin jidhar kashtiyan

abhi tai-shuda koi jada nahin

abhi tak bhaTakte hain sab karwan

yahi ek KHabar garm thi shahr mein

ki ek shoKH bachche ne khinchi kaman

tamasha dikha ke gai subh-e-nau

KHamoshi hai phir se wahi darmiyan

taaruf mera koi mushkil nahin

main 'ashufta' changezi ibn-e-KHizan

(1170) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Ghul Hua Tha Na Shor-e-KHizan In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Koi Ghul Hua Tha Na Shor-e-KHizan is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Koi Ghul Hua Tha Na Shor-e-KHizan for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Koi Ghul Hua Tha Na Shor-e-KHizan in PDF.