Panahen DhunDh Ke Kitni Hi Roz Lata Hai

panahen DhunDh ke kitni hi roz lata hai

magar wo lauT ke zulfon ki samt aata hai

sulagti ret hai aur ThanDe paniyon ka safar

wo kaun hai jo hamein rasta dikhata hai

hai intizar mujhe jang KHatm hone ka

lahu ki qaid se bahar koi bulata hai

jo mushkilon ke liye hal talash laya tha

khilaune banT ke bachchon mein muskuraata hai

tamam raste ab ek jaise lagte hain

guman rah mein shaklen badal ke aata hai

shikar dhund ka sahra-naward karte hain

fareb khana kahan dusron ko aata hai

(1253) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Panahen DhunDh Ke Kitni Hi Roz Lata Hai In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Panahen DhunDh Ke Kitni Hi Roz Lata Hai is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Panahen DhunDh Ke Kitni Hi Roz Lata Hai for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Panahen DhunDh Ke Kitni Hi Roz Lata Hai in PDF.