Tumne Likkha Hai Likho Kaisa Hun Main

tum ne likkha hai likho kaisa hun main

doston ki bhiD hai tanha hun main

yasmin o nastaran mera pata

KHushbuon ke jism par likha hun main

pahle hi kya kam tamashe the yahan

phir nae manzar uTha laya hun main

phir wahi mausam purane ho gae

din Dhale sargoshiyan sunta hun main

kaun utarti chaDhti sanson ka amin

saya-e-diwar se lipTa hun main

tu kabhi is shahr se ho kar guzar

raston ke jal mein uljha hun main

wo meri KHush-fahmiyan sab kya huin

jaane kab se be-hunar zinda hun main

(1150) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumne Likkha Hai Likho Kaisa Hun Main In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Tumne Likkha Hai Likho Kaisa Hun Main is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Tumne Likkha Hai Likho Kaisa Hun Main for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Tumne Likkha Hai Likho Kaisa Hun Main in PDF.