Ek Jalwe Ki Hawas Wo Dam-e-rehlat Bhi Nahin

ek jalwe ki hawas wo dam-e-rehlat bhi nahin

kuchh mohabbat nahin zalim to murawwat bhi nahin

us ke kuche mein kahan kashmakash bim-o-raja

KHauf-e-dozaKH bhi nahin KHwahish-e-jannat bhi nahin

zauq-e-masti ki mazammat na kar itni ai shaiKH

kya tujhe nashsha-e-zauq-e-mai-e-ulfat bhi nahin

be-niyazi bhi uTha lun main tere naz ki tarah

kya wo taqat na rahi mujh mein to himmat bhi nahin

kis tarah kahiye ki didar dikhaya us ne

bagh-e-jannat bhi nahin roz-e-qayamat bhi nahin

zohd-o-taqwa o islah-e-dar-husn-e-amal

kuchh nahin mujh mein magar kya teri rahmat bhi nahin

jazb-e-kaamil se use khinch lo ai hazrat-e-dil

kaise darwesh ho kuchh tum mein karamat bhi nahin

kabhi 'asi' se ham-aghosh na dekha tujh ko

asar-e-jazba-e-dil ahl-e-mohabbat bhi nahin

(1368) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Jalwe Ki Hawas Wo Dam-e-rehlat Bhi Nahin In English By Famous Poet Aasi Ghazipuri. Ek Jalwe Ki Hawas Wo Dam-e-rehlat Bhi Nahin is written by Aasi Ghazipuri. Read famous Poem Ek Jalwe Ki Hawas Wo Dam-e-rehlat Bhi Nahin for youth and Student by Aasi Ghazipuri. Free Download Ek Jalwe Ki Hawas Wo Dam-e-rehlat Bhi Nahin in PDF.