Hirs Daulat Ki Na Izz O Jah Ki

hirs daulat ki na izz o jah ki

bas tamanna hai dil-e-agah ki

dard-e-dil kitna pasand aaya use

main ne jab ki aah us ne wah ki

khinch gae kanan se yusuf misr ko

puchhiye hazrat se quwwat chah ki

bas suluk us ka hai manzil us ki hai

us ke dil tak jis ne apni rah ki

waizo kaisa buton ka ghurna

kuchh KHabar hai summa-wajhul-lah ki

yaad aai taq-e-bait-ul-lah mein

bait-e-abru us but-e-dil-KHwah ki

rah-e-haq ki hai agar 'asi' talash

KHak-e-rah ho mard-e-haq-agah ki

(1351) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hirs Daulat Ki Na Izz O Jah Ki In English By Famous Poet Aasi Ghazipuri. Hirs Daulat Ki Na Izz O Jah Ki is written by Aasi Ghazipuri. Read famous Poem Hirs Daulat Ki Na Izz O Jah Ki for youth and Student by Aasi Ghazipuri. Free Download Hirs Daulat Ki Na Izz O Jah Ki in PDF.