Itna To Jaante Hain Ki Aashiq Fana Hua

itna to jaante hain ki aashiq fana hua

aur us se aage baDh ke KHuda jaane kya hua

shan-e-karam thi ye bhi agar wo juda hua

kya mehnat-e-talab mein na hasil maza hua

main aur ku-e-ishq mere aur ye nasib

zauq-e-fana KHizar ki tarah rahnuma hua

pahchanta wo ab nahin dushman ko dost se

kis qaid se asir-e-mohabbat riha hua

shayan-e-darguzar hai agar iztirar mein

jurm-e-daraaz-dasti-e-zauq-e-dua hua

kya kya na us ne pure kiye muddaa-e-dil

lekin pasand use dil-e-be-muddaa hua

us ka pata kisi se na puchho baDhe chalo

fitna kisi gali mein to hoga uTha hua

gul-ruyon ke KHayal ne gulshan bana diya

sina kabhi madina kabhi karbala hua

pechida thi jo sar mein hawa-e-raza-e-dost

'asi' murid-e-silsila-e-murtaza hua

(1381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itna To Jaante Hain Ki Aashiq Fana Hua In English By Famous Poet Aasi Ghazipuri. Itna To Jaante Hain Ki Aashiq Fana Hua is written by Aasi Ghazipuri. Read famous Poem Itna To Jaante Hain Ki Aashiq Fana Hua for youth and Student by Aasi Ghazipuri. Free Download Itna To Jaante Hain Ki Aashiq Fana Hua in PDF.