Kaleja Munh Ko Aata Hai Shab-e-furqat Jab Aati Hai

kaleja munh ko aata hai shab-e-furqat jab aati hai

akele munh lapeTe rote rote jaan jati hai

lab-e-nazuk ke bose lun to missi munh banati hai

kaf-e-pa ko agar chumun to mehndi rang lati hai

dikhati hai kabhi bhaala kabhi barchhi lagati hai

nigah-e-naz-e-jaanan hum ko kya kya aazmati hai

wo bikhrane lage zulfon ko chehre par to main samjha

ghaTa mein chand ya mahmil mein laila munh chhupati hai

karegi apne hathon aaj apna KHun mashshata

bahut rach-rach ke talwon mein tere mehndi lagati hai

na koi zor us ayyar par ab tak chala apna

yahan dam TuTta hai aur dam mein jaan jati hai

taDapna tilmilana loTna sar piTna rona

shab-e-furqat akeli jaan par sau aafat aati hai

pachhaDen kha raha hun loTta hun dard-e-furqat se

ajal ke panw TuTen kyun nahin is waqt aati hai

(1172) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaleja Munh Ko Aata Hai Shab-e-furqat Jab Aati Hai In English By Famous Poet Aasi Ghazipuri. Kaleja Munh Ko Aata Hai Shab-e-furqat Jab Aati Hai is written by Aasi Ghazipuri. Read famous Poem Kaleja Munh Ko Aata Hai Shab-e-furqat Jab Aati Hai for youth and Student by Aasi Ghazipuri. Free Download Kaleja Munh Ko Aata Hai Shab-e-furqat Jab Aati Hai in PDF.