Aa Ki Chahat Wasl Ki Phir Se BaDi Pur-zor Hai

aa ki chahat wasl ki phir se baDi pur-zor hai

aa ki dil mein hasraton ne phir machaya shor hai

aa ki ab to dur tak KHushbu ki chadar bichh gai

aa ki ruKH baad-e-saba ka apne ghar ki or hai

aa ki phir se chand par dilkash jawani aa gai

aa ki phir se aaj-kal angDaiyon ka zor hai

aa ki kaliyon ke chaTaKHne ka wo mausam aa gaya

aa ki dil mein dhaDkanon ka ek anokha shor hai

aa ki jugnu kar rahe raaton mein tikhi raushni

aa ki phir se raqs mein kali ghaTa ghanghor hai

aa ki phir baadal tere aane ki dete hain KHabar

aa ki phir ab mastiyon mein apne man ka mor hai

aa ki ab to dam bhi hai jaise labon tak aa gaya

aa ki tere hath mein ab zindagi ki Dor hai

aa ki mausam ka asar 'azim' pe ab hone laga

aa ki taqat zabt ki ab ho chali kamzor hai

(1203) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aa Ki Chahat Wasl Ki Phir Se BaDi Pur-zor Hai In English By Famous Poet Aazim Kohli. Aa Ki Chahat Wasl Ki Phir Se BaDi Pur-zor Hai is written by Aazim Kohli. Read famous Poem Aa Ki Chahat Wasl Ki Phir Se BaDi Pur-zor Hai for youth and Student by Aazim Kohli. Free Download Aa Ki Chahat Wasl Ki Phir Se BaDi Pur-zor Hai in PDF.