Bahut Aziz Tha Aalam Wo Dil-figari Ka

bahut aziz tha aalam wo dil-figari ka

sukun ne chhin liya lutf be-qarari ka

hamein bhi KHu thi zamanon se dil jalane ki

unhen bhi shauq purana tha shola-bari ka

dilon mein un ke raha iztirab roz-o-shab

wo jin ke sar pe raha bojh taj-dari ka

wo jate jate mujhe apne gham bhi saunp gaya

ajib Dhang nikala hai gham-gusari ka

kaha tha tum se ai 'azim' sambhal sambhal ke chalo

bharam na rakkha magar tum ne parda-dari ka

(1081) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Aziz Tha Aalam Wo Dil-figari Ka In English By Famous Poet Aazim Kohli. Bahut Aziz Tha Aalam Wo Dil-figari Ka is written by Aazim Kohli. Read famous Poem Bahut Aziz Tha Aalam Wo Dil-figari Ka for youth and Student by Aazim Kohli. Free Download Bahut Aziz Tha Aalam Wo Dil-figari Ka in PDF.