Kidhar Ka Tha Kidhar Ka Ho Gaya Hun

kidhar ka tha kidhar ka ho gaya hun

musafir kis safar ka ho gaya hun

KHuda us ko sada pur-nur rakkhe

main tara jis nazar ka ho gaya hun

dhare jaenge sab ilzam mujh par

main hissa har KHabar ka ho gaya hun

mujhe ayyariyan sab aa gai hain

main ab tere nagar ka ho gaya hun

teri nazron ke ek farman hi se

main qaidi umr bhar ka ho gaya hun

mujhe ab ishq miTTi se nahin hai

main aashiq mal-o-zar ka ho gaya hun

riwayat chhoD baiTha hun main apni

main dushman apne ghar ka ho gaya hun

wo jis ko shaeri kahte hain 'azim'

main ghayal us hunar ka ho gaya hun

(1471) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kidhar Ka Tha Kidhar Ka Ho Gaya Hun In English By Famous Poet Aazim Kohli. Kidhar Ka Tha Kidhar Ka Ho Gaya Hun is written by Aazim Kohli. Read famous Poem Kidhar Ka Tha Kidhar Ka Ho Gaya Hun for youth and Student by Aazim Kohli. Free Download Kidhar Ka Tha Kidhar Ka Ho Gaya Hun in PDF.