Silsile Sab Ruk Gae Dil Hath Se Jata Raha

silsile sab ruk gae dil hath se jata raha

hijr ki dahliz par ek dard lahraata raha

qalb ka daman junun mein bhi na chhoDa aql ne

dhaDkanon ki chap sun kar mujh ko KHauf aata raha

masala us ki ana ka tha ki shohrat ki talab

us ka har ehsan mujh par nekiyan Dhata raha

main raha be-KHwab KHwabon ke tilismi jal mein

wo meri ninden chura kar loriyan gata raha

sabr ki takrar thi josh o junun-e-ishq se

zindagi bhar dil mujhe main dil ko samjhata raha

roz aa kar meri khiDki mein mere bachpan ka chand

rakh ke sar ek nim ki Tahni pe so jata raha

hijr ke baadal chhaTe jab dhup chamki ishq ki

wasl ke aangan mein bhanwra gul pe manDlata raha

zindagi bebak ho kar tujh se aage baDh gai

aur 'azim' tu lakiron par hi itraata raha

(1515) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Silsile Sab Ruk Gae Dil Hath Se Jata Raha In English By Famous Poet Aazim Kohli. Silsile Sab Ruk Gae Dil Hath Se Jata Raha is written by Aazim Kohli. Read famous Poem Silsile Sab Ruk Gae Dil Hath Se Jata Raha for youth and Student by Aazim Kohli. Free Download Silsile Sab Ruk Gae Dil Hath Se Jata Raha in PDF.