Thi Yaad Kis Dayar Ki Jo Aa Ke Yun Rula Gai

thi yaad kis dayar ki jo aa ke yun rula gai

bas ek pal mein jaise zindagi bhi Dagmaga gai

guman tha ye ki dab gain wo hasraton ki bijliyan

ye kaun si nai chamak bujhe diye jala gai

girain shaKH shaKH se KHizan ne phul pattiyan

uDe jo bij har taraf to phir bahaar aa gai

khula nigah-e-yar ka jo mai-kada to yun laga

ki pyas ek umar ki bas ek nazar bujha gai

KHuda-qasam main bach gaya KHata ki tez dhaar se

junun ki ek ada thi jo mujhe yun aazma gai

ye kya hua ki ab tujhi se bad-guman main ho gaya

main sochta tha zindagi tu mujh ko ras aa gai

mili hai 'azim'-e-suKHan ye kaisi tirgi tujhe

tere KHayal mein jo itni raushni baDha gai

(1272) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thi Yaad Kis Dayar Ki Jo Aa Ke Yun Rula Gai In English By Famous Poet Aazim Kohli. Thi Yaad Kis Dayar Ki Jo Aa Ke Yun Rula Gai is written by Aazim Kohli. Read famous Poem Thi Yaad Kis Dayar Ki Jo Aa Ke Yun Rula Gai for youth and Student by Aazim Kohli. Free Download Thi Yaad Kis Dayar Ki Jo Aa Ke Yun Rula Gai in PDF.