Zarf Hai Kis Mein Ki Wo Sara Jahan Le Kar Chale

zarf hai kis mein ki wo sara jahan le kar chale

hum to duniya se faqat ek dard-e-jaan le kar chale

aadmi ko chahiye taufiq chalne ki faqat

kuchh nahin to guzre waqton ka dhuan le kar chale

jab bahaaren bewafa niklen to kis ummid par

intizar-e-gul ki hasrat baghban le kar chale

kab muqaddar ka kahan kaisa koi manzar bane

hum hatheli par lakiron ke makan le kar chale

rahbari ka kuchh saliqa hai na manzil ki KHabar

kaun si jaanib ye mir-e-karwan le kar chale

dekhte hain zindagi ko apne hi andaz se

hum jidhar ko chal paDe ek dastan le kar chale

zulmaten tarik shab ki dur karne ke liye

baadalon se hum ai 'azim' bijliyan le kar chale

(1270) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zarf Hai Kis Mein Ki Wo Sara Jahan Le Kar Chale In English By Famous Poet Aazim Kohli. Zarf Hai Kis Mein Ki Wo Sara Jahan Le Kar Chale is written by Aazim Kohli. Read famous Poem Zarf Hai Kis Mein Ki Wo Sara Jahan Le Kar Chale for youth and Student by Aazim Kohli. Free Download Zarf Hai Kis Mein Ki Wo Sara Jahan Le Kar Chale in PDF.